Sanwali Saloni Teri – Hum Sub Chor Hain with Lyrics



From the film Hum Sab Chor Hain sung by Alka Yagnik & Kumar Sanu, a copy of the original Vital Signs’ Sanwali Saloni; at least they admitted stealing the song by aptly naming the film, Hum Sub Chor Hain !!!

LYRICS:

–MALE–
Saanwli saloni teri jheel si aankhen
In mein na jaane kahan kho gaya hai mera dil

O, saanwli saloni teri jheel si aankhen
In mein na jaane kahan kho gaya hai mera dil

–FEMALE–
Saanwre salone teri meethi meethi baatein
Kar diya tune mera pyaar mein jeena mushkil

Saanwre salone teri meethi meethi baatein
Kar diya tune mera pyaar mein jeena mushkil

–MALE–
Maine kore dil pe hamdam tera naam likha hai, ho ho

–FEMALE–
Maine tere naam yeh apne subh-o-shaam likha hai

–MALE–
Roop hai tera meri aankhon mein

Roop hai tera meri aankhon mein

–FEMALE–
Khushboo hai teri meri saanson mein

–MALE–
Chehre ko aise choome zulfein tumhaari

–FEMALE–
(Aah)

–MALE–
Jaise ke lehron se mil jaaye koi saahil

–FEMALE–
(Aah)

–MALE–
Hey, saanwli saloni teri jheel si aankhen
In mein na jaane kahan kho gaya hai mera dil

–FEMALE–
O, saanwre salone teri meethi meethi baatein

Kar diya tune mera pyaar mein jeena mushkil

–MALE–
Tu khayaalon mein khwaabon mein
Har pal teri baatein, ho

–FEMALE–
Jaise taise din kat ta hai
Kat ti nahin hain raatein

–MALE–
Neend tune looti, chain mera chheena

Neend tune looti, chain mera chheena

–FEMALE–
Bin tere nahin ab hamein jeena

–MALE–
Lagti hai aise tere honton ki laali

–FEMALE–
(Aah)

–MALE–
Jaise ke phoolon mein ho inka rang shaamil

–FEMALE–
(Aah)

–MALE–
Saanwli saloni teri jheel si aankhen
In mein na jaane kahan kho gaya hai mera dil

–FEMALE–
Haan, saanwre salone teri meethi meethi baatein
Kar diya tune mera pyaar mein jeena mushkil

Aah aah aah aah, la la la la la

source